Kbi kbi to man bhot vichlit ho jata h.esa lgta h bhot sari steps h jo lena h pr sabkuch khichdi ki tarah lgta h..bhot sare kaam krna h muje par mai kar nahi pati..nahi..mai samay ko dosh dene walo me se nhi hu..mai nhi kahugi ki samay nhi milta aur na hi mai alsi hu..utsah ki bhi kami nhi h..bus pta nhi kya h jo roke hue hain.man me koi na koi vichar hamesha rehta h..man me koi na koi nayi story ka plot hmesha chalta rehta h jisko alfazo ke dhage me bandhna hota hain..rango ko dekhti hu to drawing bnane ki ichha bhi hoti h..kuch dino me padhai fir se shuru hone wali h..so uski tyyari mai kar rhi hu use bilkul rok nhi skti..padhai se chhedchad nhi pasand...aur wahi kone me khada mera kitab padhne ka be-inteha shauk aur junoon mujhe dekh rha hota h..uske pas jane se khud ko rok nhi pati.i do a job to waha ka kaam to cumpulsory hota hi hain..ek best friend h meri jise meri aur muje uski bhot jarurat pdti h..uske pas kuch der bethna meri chah hoti h..sabkuch bhot mix sa rehta h..kar to lagbhag sari chize leti hu pr fir b sometimes i just fed up..
Well that's life....
0 comments:
Post a Comment