kon hu 'mai'?

kaun hu mai?
kya hu?
mera astitva kya sirf
insan matra hone ka hain?
kya ret pr pade padchinho se hi hu mai?
kya hu mai?
nare lagata, samaj se ladta
sabhi se chhin kar fir
khud se hi jhagadta
shwan ki tarah
sab par jhapat ta
‘ye’ hu mai?
‘esa’ mahan hu mai?
kya hu mai?
sapno ki ragad se ragadata               
girta,sambhalta par fir tut jata
pal me chadhta
pal me dhumil ho jata
asman ka hissa hu to
fir kya ,toot ta tara hu mai?
kya hu  ‘mai’?


0 comments:

Post a Comment